Hi my name is rahul kumar modi hai.
ye kahani sachi ghatna par adharit hai . Ye kahani mere dost suraj ki hai suraj
humlogo se stutas me bahut bada hai par dil ka saaf ladka hai. Main bhi uska ak
kamina dosto me ak tha or aaj bhi hun. Hum dono ak saath ak hi school me padhte
hain . Suraj us school me pahle se hi padhta tha. Mene or mere dosto ne us
school me apna naam likhwaya tha. Hum sabhi log ak dusre ko achhi tarah se
pahchante the .suraj ko internet se bahut lagao tha. wo humesha mobile se judda
rahta tha na jane wo mobile se kya karta tha. Suraj ko facebook par chating
karna bahut pashand hai. Hum sabhi ak saath school ak bus me jate hain. Hum
sare dost apne school ke hero hain.Humara samay school me achhi kat rahi thi.
Humne 11th ki exam ko huste hua par kar liya tha. Hum sabhi khus the par humara
dil result ko lekar mano dhadkna hi band kar diya tha.Or akhir kar wo din aa hi
gaya jab humari
11th ki exam ka result aane wali thi. Humara to dil or dimag us samay sun hi
pad gaya
tha.Lekin humare dost bindass the sare dost bol rahe the ki chal na yaar jo
hoga so dekha jayega.
Hum sabhi ne plan banaya ki hum
chilte or huste hua class me jayenge or bahar aayenge or humne bhi aisa hi
kiya. Humare haatho me result tha hum sabhi khus the. kiyunki hum sabhi pass ho
chuke the. Mene aapne dosto me achha marks laya tha par me utna kush nahi tha
kiyun ki mujhe party deni thi.Aare main to aapko apne dost ki kahani sunane
wala tha or me aapna kahani sunane laga. To suniye suraj ak ladki se behad pyar
karta hai jiska naam kiran hai. Ye baat mujhe 11th ki exam khatam hone ke baad
pata chala. Usne aye baat mujhse chupaye rakha tha. Hum sabhi 12th class me
pahuch gaye srif ak ko chhodkar jiska naam tha babita .Sabhi mere dost uska
naam lekar mujhe bahut chidhte the. Aapko ye baat sunkar tajub hoga ki suraj or
kiran ka roll no. Aage pichhe ho gaya
tha. Lagta hai bhagwan ko bhi yahi manjur tha. Suraj.kiran ko 10th se chahta
tha. Inka pyar ak tarfa tha. Suraj kiran ko chahta hai lekin suraj ko pata nahi
tha ki wo use kitna chahti hai. Par humara dost to kiran ke pyar me ghayal ho gaya tha. Chahkar bhi koi
doctor iska ilaz nahi kar sakta tha. Par suraj me ak baat hume bahut achhi
lagti thi ki wo kabhi apne dosti ke bich apna pyar nahi lata tha. Hum sabhi use
bahut pareshan karte the par wo use haskar accept karta tha.Dhire -Dhire samay
bitata gaya
wo or bhi uske pyar me pagal hota ja
raha tha. suraj bahut hi shy boy tha. Suraj kiran se kuch bhi bolne se darta
tha. Suraj ke samne bahut se moke aaye par wo sare moke par pani fer diya karta
tha. Hum sabhi usko milane ke liye na jane kitni mehanat ki par usne humari
mehnat par pani fer diya. Suraj aapne kiran ki khayalo me hi tha ki humari 12th
ki SA-1 ki exam samne aa gayi or suraj or uske dost exam ki tyari me lag gaye
par suraj ke dil or dimag me to aashiqui chhai hui thi. Use pyar ke alawa kuch
nahi samjh me aa raha tha. Wo dara hua tha ki exam me kiya likhenge. Akhir kar
wo din aa gaya
SA-1 yani do dilo ka milne ka din. Kiyun ki un dono ka roll no. Aage pichhe tha
to wo ak dusre ke aage pichhe bethe the . Suraj ke pass achha moka tha ki wo
aapne pyar ki baat kar sake par isne phir moke par choka marne ke bajay aapna
wicket gira liya. Phir usne kuch bol nahi paya. Humara exam khatam hone hi
chala tha ki suraj ne exam ke last me ak ladki ko rula diya. me soch raha tha
ki suraj ne aisa kya kah diya ki wo kiyun ro rahi hai.Phir main apne class se
bahar chala gaya
. Main thodi hi dur gaya hi tha ki mujhe pata
chala ki maine apna bottle class me hi chhod
diya hai phir me class ki or gaya
or main kya dekhta hun wo ladki abhi bhi ro rahi hai. Maine
apna bottle liya or wanha se chala gaya
.humari sari exam khatam ho gai.
Humari kuch practical ki exam bacha
hua tha jaise ki physical or english ki. Suraj ke pass bahut sunhera moka tha
ki wo physical ke samay aapna kaam kar sake. Practical ka din aa gaya or hum sabhi wanha
practical dene ke liye field me aa gaye the. Hum sabhi dosto ne practical achhi
se de di ab ladkiyo ki bari thi.Ladkiyo ko
dodaya gaya .
Suraj ne socha ki yahi sahi waqt hai jab me uska hosla badhane ke saath-saath
me apne pyar ka izhar uske samne kar dunga kisi ko pata bhi nahi chalega. Main
bhi track ke samne tha. Main bhi chila raha tha.Par mene dekha ki phir suraj ne
moke par pani pher diya tha. Ab to suraj ne haad hi kar di thi main gushe se
aag babula hota ja raha tha. Maine
bhi use maan hi maan galiya de raha tha or kosh raha tha ki saale jab itna dar
lagta hai to pyar kiyun karta hai. Humari sari exam khatam ho gai . Hum sabhi
khush the par ak ko chhodkar . Kya suraj ko apni kiran milegi ya suraj
bujha-bujha sa hi rahega . Achhi lage to please give your opinion… Email-
sunilmodi@011gmail.com
No comments:
Post a Comment